Tuesday, November 24, 2009

Soch kitni badi hoti hai

Soch bi kitni badi cheez hoti hai...Jab kisi insaan ki apni soch develop hoti hai to uski alag sakhshiyat ho jati hai... Aur kabi kabi itni badi shakhshiyat ban jati hai ki apni origin se hi alag ho jati hai.
Think of a person jo kisi gurukul me padha ho, waha ki kitabo ko padha, waha pe pala badha, aur ek nayi shakshiyat banata hai. Aur wo wahi padhane lagta hai. Kuch samay baad usko lagta hai ki jin kitabo se wo padha hai ya jis tarike se wo padha hai wo sahi nai hai.....Aur usko lagta hai ki jo purana trika hai wo ek sire se badal diya jaye....Wo ye bhool jata hai ki jo purani cheeze hai wo bi galat nai hai, aur use bas ye hi lagta hai ki agar in cheeze ke sath gurukul chala to wo justify nai karta apni soch ko, apne ethics ko. Wo gurukul ke head ke paas jata hai aur seedhe seedhe bol deta hai ki ye tarika galat hai padhane ka, aap bacho ko galat padha rahe hai, aur use aisa lagta hai ki aap gurukul me padhne walo ko galat sikhsha di ja rahi hai.....Gurukul ke head bolte hai ki unhe pata hai ki ye galat hai lekin wo abi ise sahi nai kar sakte isme thoda samay lagega....Unka kafi der discussion chalta hai aur finally shishya bolta hai ki uske ethics nai bolte ki use aisa karna chahiye..Gurudev bolte hai ki theek hai tum nayi soch rakhte ho...tum naye jamane ko leke chalo....aaj se mai ye gurukul tumhe deta hoon.....
Ye wahi shishya tha jisko guru ne bataya ki soch kya hoti hai,
Ye wahi shishya tha jisko gure n bataya ki mai, tum, hum kya hai
Guru ne hi usko padhna sikhaya
Jab shishya kabi andhere me tha ya dicision nai le pa raha tha, guru ne hi kaha ki tum aage badho mai tumhare sath hoon
Jab kabi shishya ki soch dagmatati thi, guru use samajhata tha, sahi galat batata tha...
Aur jab aaj shishya ki soch develop ho gai to usne jis jagah se pahchaan payi thi use hi galat bata diya....


Soch insaan ko pahchaan to deti hai...lekin kabi kabi aise pahchaan de deti hai ki apne bahut door ho jate hai....